Dialogues: 1) Baziger: "Kuch pane ke liye bhi kuch khona padta hai, aur kuch pa kar khone wale ko Baziger kehte hain". Bhaji Ghar: "Pet bharne ke liye kuch khana padta hai , aur kuch khane ki cheezien bechne wali jaga ko Bhaji Ghar kehte hain." 2) Mohabbatien: "Ek ladki thi dewani si , Ek ladke pe woh marti thi , nazren jhuka ke , sharma ke , galion se guzrti thi , chori chori chupke chupke chitthiyan likha karti thi, kuch kehna tha shayad us ko , jane kis se darti thi,jab bhi milti thi mujh se , mujh se poocha karti thi, yeh pyar kaise hota hai , yeh pyar kaise hota hai , aur main sirf yahi keh pata tha" Musebatien: "Ek ladka tha pagal sa, ek moti pe woh marta tha , nazrien chupa ke, dar dar ke , date pe jaya karta tha , kuch kehna tha sayad us ko , magar us moti se darta tha , jab bhi milta tha bechara mujh se mujh se poocha karta tha , " main chutkara kaise paoooon, main chutkara kaise paooon", aur main sirf yahi keh pata tha ("abe to aise lafron main padta hi kyun hai )" 3) Darr: "kkkkkkkkkkkkkkkk Kiran" Marr: woh: "kkkkk" , samne wala: "kya bhai" , woh: "kkkkkkkk", samne wala : "kya bhai kya ho gaya", woh: "kkkkkkk", samne wale ne thappad laga di, "kya kab se kkkkkkkkkk kar raha hai be" 4) Kuch Kuch hota hai: "Pyar dosti hai , agar woh meri sab se acchi dost nahi ban sakti to main us se pyaar kar hi nahi sakta" Kuch Kuch Zaroor ho raha hai: "Date bahaut zaroori hai , agar woh mere saath date par nahi a sakti , to main us se pyaar kya pyaar ka abba bhi nahi kar sakta" (Samajhti kya hai apne aap ko)" 5)Sholay: "Are oh samba, Kitne admi the re, hahahaha, Jo dar gaya samjho mar gaya" Tolay: "Mummmmyyyy, kitne toley hain mere sar main", Mummy : "Jo pakra gaya samjho mar gaya" 6)Kante: "Ek din hum sab ko narakh main to jana hi hai , yeh kam karo aur lambi gadi main jao nahi to pedal" Chante: "Ek din hum sab ko date par do jana hi hai , ek kam karo , GF ko bus main bithao , aur khud jao pedal (Paise bacaho) Kabhi Khushi Kabhi Ghum: "Parampara Dad, Parampara , pehle aap gaye the phir bhaiya gaye the aur ab mujhe jana chahiye" Kabhi tum Kabhi hum: "Parampara Dad , Parampara, pehle aap date par jate the , phir bhaiya jane lage , ab main bhi jaooon ga"